wo dilkashi wo raushni-e-baam-o-dar gai
wo dilkashi wo raushni-e-baam-o-dar gai
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
MORE BYChandra Parkash Jauhar Bijnauri
vo dilkashī vo raushnī-e-bām-o-dar ga.ī
tum kyā ga.e ki raunaq-e-shām-o-sahar ga.ī
chashm-e-karam kī ḳhair ajab kaam kar ga.ī
be-rangī-e-hayāt meñ sau rang bhar ga.ī
maiñ intizār hī meñ rahā aur zindagī
chup-chāp mere paas se ho kar guzar ga.ī
ashkoñ kī buuñd yaar kī tasvīr dekh kar
aurāq-e-gul pe sūrat-e-shabnam bikhar ga.ī
ahd-e-vafā-e-dost ho yā intizār-e-dost
har baat e.atibār kī had se guzar ga.ī
aa.ī jo terī yaad to mānind-e-bū-e-gul
saarī fazā-e-shauq ko maḳhmūr kar ga.ī
itnā to merī aah kā radd-e-amal huā
un kī jabīñ pe ek shikan sī ubhar ga.ī
milte hī aaj un kī junūñ-āfrīñ nigāh
mujh ko har ek chiiz se begāna kar ga.ī
'jauhar' na pūchh umr-e-gurezāñ kī sarguzasht
jis tarah bhī guzar ga.ī āḳhir guzar ga.ī
wo dilkashi wo raushni-e-baam-o-dar gai
tum kya gae ki raunaq-e-sham-o-sahar gai
chashm-e-karam ki KHair ajab kaam kar gai
be-rangi-e-hayat mein sau rang bhar gai
main intizar hi mein raha aur zindagi
chup-chap mere pas se ho kar guzar gai
ashkon ki bund yar ki taswir dekh kar
auraq-e-gul pe surat-e-shabnam bikhar gai
ahd-e-wafa-e-dost ho ya intizar-e-dost
har baat eatibar ki had se guzar gai
aai jo teri yaad to manind-e-bu-e-gul
sari faza-e-shauq ko maKHmur kar gai
itna to meri aah ka radd-e-amal hua
un ki jabin pe ek shikan si ubhar gai
milte hi aaj un ki junun-afrin nigah
mujh ko har ek chiz se begana kar gai
'jauhar' na puchh umr-e-gurezan ki sarguzasht
jis tarah bhi guzar gai aaKHir guzar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.