wo doshiza mahak jab se uDi hai
vo doshīza mahak jab se uḌī hai
fazāoñ meñ mohabbat ghul ga.ī hai
asar us kī kisī jumbish kā hai ye
jo har zarre meñ phailī raushnī hai
nahīñ hai jis jagah tahzīb kā rañg
vahāñ bas tīrgī hī tīrgī hai
ki ham jhūTe ko sachchā maan baiThe
ye laffāzī kī hī jādūgarī hai
kahāñ hotā kabhī koī mukammal
sabhī meñ kuchh na kuchh yaaro kamī hai
merā saayā mere qadmoñ ke nīche
yuuñ shāyad zindagī aadhī huī hai
wo doshiza mahak jab se uDi hai
fazaon mein mohabbat ghul gai hai
asar us ki kisi jumbish ka hai ye
jo har zarre mein phaili raushni hai
nahin hai jis jagah tahzib ka rang
wahan bas tirgi hi tirgi hai
ki hum jhuTe ko sachcha man baiThe
ye laffazi ki hi jadugari hai
kahan hota kabhi koi mukammal
sabhi mein kuchh na kuchh yaro kami hai
mera saya mere qadmon ke niche
yun shayad zindagi aadhi hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.