wo dosti ki jaan se har ek tar khinch kar
vo dostī kī jaañ se har ik taar khīñch kar
merā yaqīn le gayā ġhaddār khīñch kar
din motiyoñ se haath kī muTThī meñ haiñ bache
ye vaqt le gayā gale se haar khīñch kar
har samt bhiiḌ shor-sharāba kise pasand
le jaatī haiñ zarūrateñ bāzār khīñch kar
afsāna chal rahā thā magar maut le ga.ī
daurān-e-zindagī se hī kirdār khīñch kar
bas ḳhāmushī se jang laḌe jā rahe the ham
vo laḌ rahe the lafz kī talvār khīñch kar
wo dosti ki jaan se har ek tar khinch kar
mera yaqin le gaya ghaddar khinch kar
din motiyon se hath ki muTThi mein hain bache
ye waqt le gaya gale se haar khinch kar
har samt bhiD shor-sharaba kise pasand
le jati hain zaruraten bazar khinch kar
afsana chal raha tha magar maut le gai
dauran-e-zindagi se hi kirdar khinch kar
bas KHamushi se jang laDe ja rahe the hum
wo laD rahe the lafz ki talwar khinch kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.