wo dushman ho gaya achchha hua hai
wo dushman ho gaya achchha hua hai
Syeda Kauzar Munawar Sharqpuri
MORE BYSyeda Kauzar Munawar Sharqpuri
vo dushman ho gayā achchhā huā hai
ye lamha dil pe ab likkhā huā hai
magar sach hai ki vo bahkā huā hai
magar ai dil vo kyuuñ bahkā huā hai
balā.eñ le rahe the log saare
magar bachcha hai phir sahmā huā hai
burā lagtā nahīñ ab koī kuchh bhī
ki ham ne sab hī kuchh dekhā huā hai
khaḌī huuñ dhuup meñ sūraj sambhāle
mirā saaya baḌā phailā huā hai
mirī āñkhoñ pe tum ab haath rakhnā
mire aage koī Thahrā huā hai
vo yaad aayā to dekhā maiñ ne ye bhī
añdherā chār-sū phailā huā hai
mirī āñkhoñ meñ lagtā hai ki ab tak
vahī aañsū vahīñ Thahrā huā hai
muqaddar mere hāthoñ meñ hai 'kausar'
mire hāthoñ pe ye likkhā huā hai
wo dushman ho gaya achchha hua hai
ye lamha dil pe ab likkha hua hai
magar sach hai ki wo bahka hua hai
magar ai dil wo kyun bahka hua hai
balaen le rahe the log sare
magar bachcha hai phir sahma hua hai
bura lagta nahin ab koi kuchh bhi
ki hum ne sab hi kuchh dekha hua hai
khaDi hun dhup mein suraj sambhaale
mera saya baDa phaila hua hai
meri aankhon pe tum ab hath rakhna
mere aage koi Thahra hua hai
wo yaad aaya to dekha main ne ye bhi
andhera chaar-su phaila hua hai
meri aankhon mein lagta hai ki ab tak
wahi aansu wahin Thahra hua hai
muqaddar mere hathon mein hai 'kausar'
mere hathon pe ye likkha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.