wo ek bujhta hua sitara
vo ek bujhtā huā sitārā
vajūd-o-hastī kā isti.ārā
sulag rahī hai phir ek cigarette
dhueñ ne phir koī ruup dhārā
bhañvar nigaltā rahā safīne
hañsī uḌātā rahā kinārā
sukūt-e-shab ko kiyā hai ghā.il
nadī meñ patthar uThā ke maarā
udaas rut kī havā ne āḳhir
ye ret par kis kā naqsh ubhārā
ḳhalā meñ chakkar lagā rahā hai
bujhī huī aag kā sharāra
ye duniyā hone se thak chukī hai
ab us kī taḳhlīq ho dobāra
wo ek bujhta hua sitara
wajud-o-hasti ka istiara
sulag rahi hai phir ek cigarette
dhuen ne phir koi rup dhaara
bhanwar nigalta raha safine
hansi uData raha kinara
sukut-e-shab ko kiya hai ghail
nadi mein patthar uTha ke mara
udas rut ki hawa ne aaKHir
ye ret par kis ka naqsh ubhaara
KHala mein chakkar laga raha hai
bujhi hui aag ka sharara
ye duniya hone se thak chuki hai
ab us ki taKHliq ho dobara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.