wo ek lafz jo kabhi usne kaha nahin
vo ek lafz jo kabhī us ne kahā nahīñ
maiñ ne to sun liyā thā par us ne sunā nahīñ
e.ajāz us kī chashm-e-karam kā hai dosto
pahle sā zaḳhm dil kā mire ab harā nahīñ
ik sā.at-e-hasīñ ne mujhe āshnā kiyā
maiñ to ġham-e-hayāt se thā āshnā nahīñ
manzar vo merī aañkh meñ baaqī hai ḳhvāb sā
kashtī bhañvar meñ qaid hai aur nāḳhudā nahīñ
tā-hadd-e-chashm sard-o-siyah-posh hai fazā
sho.ala koī bhī ḳhaak se merī uThā nahīñ
ḳhushbū ragoñ meñ tair rahī hai bahār kī
koī bhī naqsh dil kī zamīñ par nayā nahīñ
ik mauj-e-tund-o-tez bahā le ga.ī mujhe
sāhil pe duur duur koī naqsh-e-pā nahīñ
wo ek lafz jo kabhi us ne kaha nahin
main ne to sun liya tha par us ne suna nahin
eajaz us ki chashm-e-karam ka hai dosto
pahle sa zaKHm dil ka mere ab hara nahin
ek saat-e-hasin ne mujhe aashna kiya
main to gham-e-hayat se tha aashna nahin
manzar wo meri aankh mein baqi hai KHwab sa
kashti bhanwar mein qaid hai aur naKHuda nahin
ta-hadd-e-chashm sard-o-siyah-posh hai faza
shoala koi bhi KHak se meri uTha nahin
KHushbu ragon mein tair rahi hai bahaar ki
koi bhi naqsh dil ki zamin par naya nahin
ek mauj-e-tund-o-tez baha le gai mujhe
sahil pe dur dur koi naqsh-e-pa nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.