wo ek lamha jo tark-e-talluqat ka tha
vo ek lamha jo tark-e-ta.alluqāt kā thā
phir us ke baad kahāñ koī pal hayāt kā thā
jo mas.ala thā vo bāham zarūriyāt kā thā
mire farār kā aur aap kī najāt kā thā
zabāñ hijāb kī lahja takallufāt kā thā
laboñ ke biich meñ parda mukālamāt kā thā
vo ek phuul jo nāzuk thā saare phūloñ meñ
usī pe mujh ko gumāñ pattharoñ kī zaat kā thā
larazte kāñpte se lab jhukī jhukī sī nazar
hayā to aaj kī thī zikr kal kī raat kā thā
kisī ke dil kā janāza uThā thā bastī se
yuuñ qāfila to kisī lauTtī barāt kā thā
wo ek lamha jo tark-e-talluqat ka tha
phir us ke baad kahan koi pal hayat ka tha
jo masala tha wo baham zaruriyat ka tha
mere farar ka aur aap ki najat ka tha
zaban hijab ki lahja takallufat ka tha
labon ke bich mein parda mukalamat ka tha
wo ek phul jo nazuk tha sare phulon mein
usi pe mujh ko guman pattharon ki zat ka tha
larazte kanpte se lab jhuki jhuki si nazar
haya to aaj ki thi zikr kal ki raat ka tha
kisi ke dil ka janaza uTha tha basti se
yun qafila to kisi lauTti baraat ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.