wo ek lamha ki jab un ka samna hoga
vo ek lamha ki jab un kā sāmnā hogā
vo ek lamha bahut sabr-āzmā hogā
maiñ jis ke vāste āñkhoñ meñ raat kaaT aayā
vo mere vāste kyoñ jāgtā rahā hogā
ye haal hai ki nahīñ apnī bhī ḳhabar mujh ko
ab aur is se baḌā sāneha bhī kyā hogā
zamāna jis ko kahe hai tumhārā dīvāna
tumheñ bhī raah meñ vo aadmī milā hogā
wo ek lamha ki jab un ka samna hoga
wo ek lamha bahut sabr-azma hoga
main jis ke waste aankhon mein raat kaT aaya
wo mere waste kyon jagta raha hoga
ye haal hai ki nahin apni bhi KHabar mujh ko
ab aur is se baDa saneha bhi kya hoga
zamana jis ko kahe hai tumhaara diwana
tumhein bhi rah mein wo aadmi mila hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.