wo ek shaKHs jo humse kabhi mila bhi nahin
vo ek shaḳhs jo ham se kabhī milā bhī nahīñ
hamāre saath hai aur ham se vo judā bhī nahīñ
qalam uThāo to kāġhaz se vo ubhartā hai
dil-o-dimāġh se ye rabt TūTtā bhī nahīñ
saje to kaise saje anjuman ḳhayāloñ kī
vo bāda-kash bhī nahīñ ab vo mai-kada bhī nahīñ
baġhair barse ghaTā.eñ guzar ga.iiñ ab ke
yūñhī chalā gayā mausam ne kuchh kahā bhī nahīñ
vo sāmne haiñ magar dil bujhā bujhā sā hai
shikāyateñ bhī nahīñ arz-e-mudda.ā bhī nahīñ
har ek tīr-e-sitam hañs ke sah liyā dil par
ḳhafā vo phir bhī haiñ ham ne to kuchh kahā bhī nahīñ
ġharīb-e-shahr haiñ phirte haiñ ajnabī kī tarah
koī rafīq nahīñ koī āshnā bhī nahīñ
huzūr aap ne be-kār pher lī āñkheñ
burā sahī vo magar is qadar burā bhī nahīñ
wo ek shaKHs jo hum se kabhi mila bhi nahin
hamare sath hai aur hum se wo juda bhi nahin
qalam uThao to kaghaz se wo ubharta hai
dil-o-dimagh se ye rabt TuTta bhi nahin
saje to kaise saje anjuman KHayalon ki
wo baada-kash bhi nahin ab wo mai-kada bhi nahin
baghair barse ghaTaen guzar gain ab ke
yunhi chala gaya mausam ne kuchh kaha bhi nahin
wo samne hain magar dil bujha bujha sa hai
shikayaten bhi nahin arz-e-muddaa bhi nahin
har ek tir-e-sitam hans ke sah liya dil par
KHafa wo phir bhi hain hum ne to kuchh kaha bhi nahin
gharib-e-shahr hain phirte hain ajnabi ki tarah
koi rafiq nahin koi aashna bhi nahin
huzur aap ne be-kar pher li aankhen
bura sahi wo magar is qadar bura bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.