wo ek shaKHs jo manzil bhi rahguzar bhi hai
vo ek shaḳhs jo manzil bhī rahguzār bhī hai
nishāt-o-kaif meñ Duubā hai ġham-gusār bhī hai
majāz aur haqīqat kā aa.ina ban kar
hamārī zaat yahāñ lail bhī nahār bhī hai
tumhāre kamre meñ gulshan kā rañg-rūp milā
yahāñ to mez pe phūloñ ke saath ḳhaar bhī hai
tumhārī zaat se is dil kā rābta bhī nahīñ
tumhārī yaad meñ dil merā be-qarār bhī hai
fasīl-e-āb pe Thahrī hai chāñdnī kī dulhan
shafaq ke shāne pe zulfoñ kā ābshār bhī hai
'asad' vo kaisā tilismī vajūd rakhtā hai
usī se buġhz-o-adāvat usī se pyaar bhī hai
wo ek shaKHs jo manzil bhi rahguzar bhi hai
nishat-o-kaif mein Duba hai gham-gusar bhi hai
majaz aur haqiqat ka aaina ban kar
hamari zat yahan lail bhi nahaar bhi hai
tumhaare kamre mein gulshan ka rang-rup mila
yahan to mez pe phulon ke sath KHar bhi hai
tumhaari zat se is dil ka rabta bhi nahin
tumhaari yaad mein dil mera be-qarar bhi hai
fasil-e-ab pe Thahri hai chandni ki dulhan
shafaq ke shane pe zulfon ka aabshaar bhi hai
'asad' wo kaisa tilismi wajud rakhta hai
usi se bughz-o-adawat usi se pyar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.