wo ek shaKHs mera ham-mizaj pahle tha
vo ek shaḳhs mirā ham-mizāj pahle thā
badal gayā vahī kal meñ jo aaj pahle thā
bashar kī pyaas bashar ke lahū se bujhtī hai
jahāñ meñ kyā yahī ḳhūnī rivāj pahle thā
tamām vaqt guzartā hai laġhviyāt meñ ab
hamāre sar pe bahut kaam kaaj pahle thā
ye aisā daur ki insāniyat bilaktī hai
sukūñ se par baḌā saada samāj pahle thā
na dekhī dahr ne us kī tarah ziyā ab tak
ajiib bujhtā huā ik sirāj pahle thā
ġhubār-o-ḳhāk meñ vo sab badal ga.e 'qudsī'
javāharāt kā ghar bhar anaaj pahle thā
wo ek shaKHs mera ham-mizaj pahle tha
badal gaya wahi kal mein jo aaj pahle tha
bashar ki pyas bashar ke lahu se bujhti hai
jahan mein kya yahi KHuni riwaj pahle tha
tamam waqt guzarta hai laghwiyat mein ab
hamare sar pe bahut kaam kaj pahle tha
ye aisa daur ki insaniyat bilakti hai
sukun se par baDa sada samaj pahle tha
na dekhi dahr ne us ki tarah ziya ab tak
ajib bujhta hua ek siraj pahle tha
ghubar-o-KHak mein wo sab badal gae 'qudsi'
jawaharaat ka ghar bhar anaj pahle tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.