wo ek wada jise nibhane mein chhoD aae
vo ek vā'da jise nibhāne meñ chhoḌ aa.e
javānī apnī qimār-ḳhāne meñ chhoḌ aa.e
na.ī kahānī meñ ek kirdār kī kamī thī
so zikr apnā tire fasāne meñ chhoḌ aa.e
jo qarz vājib thā ham ne saarā adā kiyā hai
ham apnī sāñseñ bhī mehnatāne meñ chhoḌ aa.e
vo jin parindoñ ko bhā gayā thā asiir rahnā
ham un ko masrūf āb-o-dāne meñ chhoḌ aa.e
sabīh chehre hasīn sub.heñ udaas shāmeñ
sabhī manāzir ko zar kamāne meñ chhoḌ aa.e
'nadīm' lāzim thī ham pe us kī nigāhbānī
so ek af'ī ko ham ḳhazāne meñ chhoḌ aa.e
wo ek wa'da jise nibhane mein chhoD aae
jawani apni qimar-KHane mein chhoD aae
nai kahani mein ek kirdar ki kami thi
so zikr apna tere fasane mein chhoD aae
jo qarz wajib tha hum ne sara ada kiya hai
hum apni sansen bhi mehnatane mein chhoD aae
wo jin parindon ko bha gaya tha asir rahna
hum un ko masruf aab-o-dane mein chhoD aae
sabih chehre hasin subhen udas shamen
sabhi manazir ko zar kamane mein chhoD aae
'nadim' lazim thi hum pe us ki nigahbani
so ek af'i ko hum KHazane mein chhoD aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.