wo gah-gah tera iltifat kya kahna
vo gāh-gāh tirā iltifāt kyā kahnā
bhulā diyā hai ġham-e-kā.enāt kyā kahnā
mirī nigāh ko jannat banā diyā tū ne
tire shabāb kā jān-e-hayāt kyā kahnā
mirī nigāh meñ kaunain kī haqīqat kyā
tirī nazar hai mirī kā.enāt kyā kahnā
machal rahe haiñ tasavvur meñ husn ke jalve
taḌap rahī hai judā.ī kī raat kyā kahnā
har ek ġham se bachāyā ġham-e-mohabbat ne
ye jāñ-navāz tarīq-e-najāt kyā kahnā
nazar ke sāmne terā badan thā ā.īna
vo be-panāh tajallī kī raat kyā kahnā
tumheñ sukūn hai lekin mujhe sukūn nahīñ
hayāt-e-ishq kī ye vārdāt kyā kahnā
tirī nigāh ne ulfat kā saaz chheḌ diyā
hayāt ban ga.ī asl-e-hayāt kyā kahnā
kisī kī talḳh-kalāmī kā zikr kyā 'saifī'
har ek baat hai shāḳh-e-nabāt kyā kahnā
wo gah-gah tera iltifat kya kahna
bhula diya hai gham-e-kaenat kya kahna
meri nigah ko jannat bana diya tu ne
tere shabab ka jaan-e-hayat kya kahna
meri nigah mein kaunain ki haqiqat kya
teri nazar hai meri kaenat kya kahna
machal rahe hain tasawwur mein husn ke jalwe
taDap rahi hai judai ki raat kya kahna
har ek gham se bachaya gham-e-mohabbat ne
ye jaan-nawaz tariq-e-najat kya kahna
nazar ke samne tera badan tha aaina
wo be-panah tajalli ki raat kya kahna
tumhein sukun hai lekin mujhe sukun nahin
hayat-e-ishq ki ye wardat kya kahna
teri nigah ne ulfat ka saz chheD diya
hayat ban gai asl-e-hayat kya kahna
kisi ki talKH-kalami ka zikr kya 'saifi'
har ek baat hai shaKH-e-nabaat kya kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.