Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo gham jo hasil-e-hasti hai mil chuka ki nahin

Kaukab Shahjahanpuri

wo gham jo hasil-e-hasti hai mil chuka ki nahin

Kaukab Shahjahanpuri

MORE BYKaukab Shahjahanpuri

    vo ġham jo hāsil-e-hastī hai mil chukā ki nahīñ

    phir aur kaun hai lutf dil-kushā ki nahīñ

    mizāj-e-dard-e-tamannā badal gayā ki nahīñ

    vafā ne rañj ko rāhat banā liyā ki nahīñ

    jo dil meñ toḌtī rahtī thī neshtar har dam

    huī vo kāvish-e-jāñ vo jāñ-fazā ki nahīñ

    jalā diyā thā lahū jis ne dil rag rag

    vo soz-e-ātish-e-ġham raas aa gayā ki nahīñ

    nazar nazar pe hai paiham tajalliyoñ nuzūl

    talāsh-e-husn haq ho gayā adā ki nahīñ

    zahe surūr ḳhalish ye ḳhabar nahīñ dil ko

    jo chubh gayā thā vo kāñTā nikal gayā ki nahīñ

    karishma apnī tavajjoh tum ne dekh liyā

    Thahar ga.ī mirī umr-e-gurez-pā ki nahīñ

    zarā batāo agar tum ne sab baat sunī

    mire sukūt ne bhī tum se kuchh kahā ki nahīñ

    kahāñ ye hosh nashāt-e-talab meñ ai 'kaukab'

    na-gufta harf-e-talab sun liyā gayā ki nahīñ

    wo gham jo hasil-e-hasti hai mil chuka ki nahin

    phir aur kaun sa hai lutf dil-kusha ki nahin

    mizaj-e-dard-e-tamanna badal gaya ki nahin

    wafa ne ranj ko rahat bana liya ki nahin

    jo dil mein toDti rahti thi neshtar har dam

    hui wo kawish-e-jaan ka wo jaan-faza ki nahin

    jala diya tha lahu jis ne dil ki rag rag ka

    wo soz-e-atish-e-gham ras aa gaya ki nahin

    nazar nazar pe hai paiham tajalliyon ka nuzul

    talash-e-husn ka haq ho gaya ada ki nahin

    zahe surur KHalish ye KHabar nahin dil ko

    jo chubh gaya tha wo kanTa nikal gaya ki nahin

    karishma apni tawajjoh ka tum ne dekh liya

    Thahar gai meri umr-e-gurez-pa ki nahin

    zara batao agar tum ne sab ki baat suni

    mere sukut ne bhi tum se kuchh kaha ki nahin

    kahan ye hosh nashat-e-talab mein ai 'kaukab'

    na-gufta harf-e-talab sun liya gaya ki nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now