wo ghaDi dil pe thi qayamat ki
vo ghaḌī dil pe thī qayāmat kī
jab tirī chāhatoñ ne hijrat kī
kyā koī husn kā sahīfa thā
aañkh ne der tak tilāvat kī
aur shiddat se yaad aaya vo
jab use bhūlne kī jur.at kī
dil jalāo agar charāġh bujheñ
raushnī kam na ho mohabbat kī
māñgtī hai lahū ke nazrāne
ham se har iiñT is imārat kī
us ne kī mujh ko sabr kī talqīn
dī duā maiñ ne istaqāmat kī
qatl-ḳhānoñ meñ jī rahe haiñ ham
daad diije hamārī himmat kī
dekh tīroñ se phuul chhalnī haiñ
koī had hotī hai adāvat kī
qasr-e-fir.aunñ meñ pal rahe haiñ kalīm
kyā ajab shaan hai mashiyyat kī
bujh chalī sham.a-e-bazm-e-nāv-nosh
sar pe tayyāriyāñ haiñ rehlat kī
dard jab had se baḌh gayā 'bazmī'
dard se dard kī shikāyat kī
wo ghaDi dil pe thi qayamat ki
jab teri chahaton ne hijrat ki
kya koi husn ka sahifa tha
aankh ne der tak tilawat ki
aur shiddat se yaad aaya wo
jab use bhulne ki jurat ki
dil jalao agar charagh bujhen
raushni kam na ho mohabbat ki
mangti hai lahu ke nazrane
hum se har inT is imarat ki
us ne ki mujh ko sabr ki talqin
di dua main ne istaqamat ki
qatl-KHanon mein ji rahe hain hum
dad dije hamari himmat ki
dekh tiron se phul chhalni hain
koi had hoti hai adawat ki
qasr-e-firaunn mein pal rahe hain kalim
kya ajab shan hai mashiyyat ki
bujh chali shama-e-bazm-e-naw-nosh
sar pe tayyariyan hain rehlat ki
dard jab had se baDh gaya 'bazmi'
dard se dard ki shikayat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.