wo git pyar ka jo suna kar chale gae
vo giit pyaar kā jo sunā kar chale ga.e
ḳhvābīda hasratoñ ko jagā kar chale ga.e
piine se jis ke hosh na aa.e tamām 'umr
aisī sharāb mujh ko pilā kar chale ga.e
ġhairoñ kī be-ruḳhī kā gila kis liye kareñ
apne hī dil hamārā dukhā kar chale ga.e
pūchhā jo maiñ ne parde meñ sūraj hai yā ki chāñd
chehre se vo naqāb uThā kar chale ga.e
ehsāñ hai 'dānish' un kā zamāne pe ye bahut
jo rāstī kī raah dikhā kar chale ga.e
wo git pyar ka jo suna kar chale gae
KHwabida hasraton ko jaga kar chale gae
pine se jis ke hosh na aae tamam 'umr
aisi sharab mujh ko pila kar chale gae
ghairon ki be-ruKHi ka gila kis liye karen
apne hi dil hamara dukha kar chale gae
puchha jo main ne parde mein suraj hai ya ki chand
chehre se wo naqab uTha kar chale gae
ehsan hai 'danish' un ka zamane pe ye bahut
jo rasti ki rah dikha kar chale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.