wo giri hai barq ki al-aman mere aashiyan-e-qarar par
vo girī hai barq ki al-amān mire āshiyān-e-qarār par
magar e'timād hai aaj bhī tirī baat par tire pyaar par
mirī sab du'ā.eñ qubūl haiñ mujhe aur kuchh nahīñ chāhiye
mire paas hai mai-e-ġham-rubā mirā sar hai zānu-e-yār par
mirī kāmyābī-e-ishq par ye fazā.eñ kyoñ nahīñ jhūmtīñ
abhī raushnī sī huī thī kuchh abhī aa.e the vo mazār par
yahī bandagī hai mire liye yahī sajda hai mire vāste
nazar uTThī uTh ke Thahar ga.ī tirī ḳhāk-e-rāhguzār par
mujhe kyā satā.egī kashmakash maiñ chaman kā nabz-shanās huuñ
na ḳhizāñ se mujh ko kabīdagī na nigāh merī bahār par
ye guloñ pe kis ne sitam kyā huā kaun ġhunchoñ se be-adab
koī gul-farosh na ho yahāñ hai shikan jabīn-e-bahār par
ye navāzish-e-sitam-āfrīñ vo udhar se ho ke guzar ga.e
ki nigāh bhī na uThā sake mirī hasratoñ ke mazār par
yahī merā maslak-e-zīst hai yahī merā maz.hab-e-ain hai
na ḳhizāñ kī hajv likhī kabhī na kahā qasīda bahār par
ye chamak uThā bhī to tā-ba-kai ye rasā huā bhī to tā-kujā
mujhe ilm-e-muddat-e-umr hai hañsī aa rahī hai sharār par
vahī apnā 'bismil'-e-bāda-kash jo milā bhī hai to kahāñ milā
kabhī mai-kade kī fazāoñ meñ kabhī āstāna-e-yār par
wo giri hai barq ki al-aman mere aashiyan-e-qarar par
magar e'timad hai aaj bhi teri baat par tere pyar par
meri sab du'aen qubul hain mujhe aur kuchh nahin chahiye
mere pas hai mai-e-gham-ruba mera sar hai zanu-e-yar par
meri kaamyabi-e-ishq par ye fazaen kyon nahin jhumtin
abhi raushni si hui thi kuchh abhi aae the wo mazar par
yahi bandagi hai mere liye yahi sajda hai mere waste
nazar uTThi uTh ke Thahar gai teri KHak-e-rahguzar par
mujhe kya sataegi kashmakash main chaman ka nabz-shanas hun
na KHizan se mujh ko kabidagi na nigah meri bahaar par
ye gulon pe kis ne sitam kya hua kaun ghunchon se be-adab
koi gul-farosh na ho yahan hai shikan jabin-e-bahaar par
ye nawazish-e-sitam-afrin wo udhar se ho ke guzar gae
ki nigah bhi na uTha sake meri hasraton ke mazar par
yahi mera maslak-e-zist hai yahi mera mazhab-e-ain hai
na KHizan ki hajw likhi kabhi na kaha qasida bahaar par
ye chamak uTha bhi to ta-ba-kai ye rasa hua bhi to ta-kuja
mujhe ilm-e-muddat-e-umr hai hansi aa rahi hai sharar par
wahi apna 'bismil'-e-baada-kash jo mila bhi hai to kahan mila
kabhi mai-kade ki fazaon mein kabhi aastana-e-yar par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.