wo gul-farosh kahan ab gulab kis se lun
vo gul-farosh kahāñ ab gulāb kis se luuñ
nahīñ rahā mirā saaqī sharāb kis se luuñ
tirī talāsh meñ is umr-e-musta.ār ke saal
jo rā.egāñ ga.e in kā hisāb kis se luuñ
hayāt ḳhud hai savāl aur ḳhud javāb apnā
savāl kis se karūñ maiñ javāb kis se luuñ
kisī ke naam jo mansūb abhī nahīñ kī thī
maiñ apnī khoī huī vo kitāb kis se luuñ
tumhāre ba.ad na dekhūñ tumhāre jaisoñ ko
to ye shabeñ ye umañgeñ ye ḳhvāb kis se luuñ
nasha kisī se bhī le luuñ 'shu.ūr' aaj magar
vo roz-e-abr-o-shab-e-mahtāb kis se luuñ
wo gul-farosh kahan ab gulab kis se lun
nahin raha mera saqi sharab kis se lun
teri talash mein is umr-e-mustaar ke sal
jo raegan gae in ka hisab kis se lun
hayat KHud hai sawal aur KHud jawab apna
sawal kis se karun main jawab kis se lun
kisi ke nam jo mansub abhi nahin ki thi
main apni khoi hui wo kitab kis se lun
tumhaare baad na dekhun tumhaare jaison ko
to ye shaben ye umangen ye KHwab kis se lun
nasha kisi se bhi le lun 'shuur' aaj magar
wo roz-e-abr-o-shab-e-mahtab kis se lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.