wo gum sharab mein kyon aae hum ko kya malum
vo gum sharāb meñ kyoñ aa.e ham ko kyā mā'lūm
ham ehtisāb meñ kyoñ aa.e ham ko kyā mā'lūm
likhā thā ham ne ki chehra tumhārā bhuul ga.e
vo ḳhud javāb meñ kyoñ aa.e ham ko kyā mā'lūm
unheñ pasand nahīñ hai hamārī gustāḳhī
ham un ke ḳhvāb meñ kyoñ aa.e ham ko kyā mā'lūm
vo sānahe jo tasavvur meñ ham pe guzre the
tirī kitāb meñ kyoñ aa.e ham ko kyā mā'lūm
jinheñ thā zo'm bahut apnī pārsā.ī kā
vo sau hijāb meñ kyoñ aa.e ham ko kyā mā'lūm
vo tishna-lab ki jinheñ tishnagī kā 'irfāñ thā
vahī sarāb meñ kyoñ aa.e ham ko kyā mā'lūm
ye pūchhnā hai to pūchho nigāh-e-qātil se
ham intiḳhāb meñ kyoñ aa.e ham ko kyā mā'lūm
'kamāl' aur bhī shā'ir the raat mahfil meñ
tumhīñ 'itāb meñ kyoñ aa.e ham ko kyā mā'lūm
wo gum sharab mein kyon aae hum ko kya ma'lum
hum ehtisab mein kyon aae hum ko kya ma'lum
likha tha hum ne ki chehra tumhaara bhul gae
wo KHud jawab mein kyon aae hum ko kya ma'lum
unhen pasand nahin hai hamari gustaKHi
hum un ke KHwab mein kyon aae hum ko kya ma'lum
wo sanahe jo tasawwur mein hum pe guzre the
teri kitab mein kyon aae hum ko kya ma'lum
jinhen tha zo'm bahut apni parsai ka
wo sau hijab mein kyon aae hum ko kya ma'lum
wo tishna-lab ki jinhen tishnagi ka 'irfan tha
wahi sarab mein kyon aae hum ko kya ma'lum
ye puchhna hai to puchho nigah-e-qatil se
hum intiKHab mein kyon aae hum ko kya ma'lum
'kamal' aur bhi sha'ir the raat mahfil mein
tumhin 'itab mein kyon aae hum ko kya ma'lum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.