wo hadisa bhi hua meri zindagani mein
vo hādisa bhī huā merī zindagānī meñ
jise paḌhā thā baḌe shauq se kahānī meñ
dikhā.ī jab bhī diyā chāñd bahte paanī meñ
lagā ki husn tirā aa gayā ravānī meñ
use ḳhabar hī nahīñ shaam ko jo honā hai
ye āftāb abhī chuur hai javānī meñ
yūñhī sañvartī nahīñ haiñ guloñ kī taqdīreñ
lahū nichoḌnā paḌtā hai bāġhbānī meñ
tamām 'umr maiñ us ko talāsh kartā rahā
vo ek shaḳhs jo thā hī nahīñ kahānī meñ
kabhī kisī ke na mehmān ham hue 'in'ām'
tamām 'umr guzārī hai mezbānī meñ
wo hadisa bhi hua meri zindagani mein
jise paDha tha baDe shauq se kahani mein
dikhai jab bhi diya chand bahte pani mein
laga ki husn tera aa gaya rawani mein
use KHabar hi nahin sham ko jo hona hai
ye aaftab abhi chur hai jawani mein
yunhi sanwarti nahin hain gulon ki taqdiren
lahu nichoDna paDta hai baghbani mein
tamam 'umr main us ko talash karta raha
wo ek shaKHs jo tha hi nahin kahani mein
kabhi kisi ke na mehman hum hue 'in'am'
tamam 'umr guzari hai mezbani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.