wo haal-e-dil hai tera sath KHatm hone par
vo hāl-e-dil hai tirā saath ḳhatm hone par
vahī jo hotā hai barsāt ḳhatm hone par
maiñ hausle se rahā ḳhauf ke samundar meñ
magar maiñ gir paḌā ḳhadshāt ḳhatm hone par
mire javāb se sab lā-javāb haiñ lekin
maiñ muztarib huuñ savālāt ḳhatm hone par
vo ik hujūm jo mujh ko uThā.e phirtā thā
nazar na aayā mafādāt ḳhatm hone par
miyāñ ye sunte chale aa.e haiñ buzurgoñ se
ki ḳhatm hotī haiñ ādāt ḳhatm hone par
kuchh aise log bhī ai nasl-e-nau hayāt haiñ jo
sulag rahe haiñ rivāyāt ḳhatm hone par
suno fazāoñ ko masmūm is qadar na karo
ki aa ga.e haiñ nabātāt ḳhatm hone par
kahīñ zamāna kisī ke liye rukā hai kabhī
koī na hogā tirī baat ḳhatm hone par
hai badduā yā koī sehr hai 'qamar' ham par
añdherā baḌhtā hai har raat ḳhatm hone par
wo haal-e-dil hai tera sath KHatm hone par
wahi jo hota hai barsat KHatm hone par
main hausle se raha KHauf ke samundar mein
magar main gir paDa KHadshat KHatm hone par
mere jawab se sab la-jawab hain lekin
main muztarib hun sawalat KHatm hone par
wo ek hujum jo mujh ko uThae phirta tha
nazar na aaya mafadat KHatm hone par
miyan ye sunte chale aae hain buzurgon se
ki KHatm hoti hain aadat KHatm hone par
kuchh aise log bhi ai nasl-e-nau hayat hain jo
sulag rahe hain riwayat KHatm hone par
suno fazaon ko masmum is qadar na karo
ki aa gae hain nabaatat KHatm hone par
kahin zamana kisi ke liye ruka hai kabhi
koi na hoga teri baat KHatm hone par
hai baddua ya koi sehr hai 'qamar' hum par
andhera baDhta hai har raat KHatm hone par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.