wo hain sitamgar phir bhi sitam par ab un ko sharmae kaun
vo haiñ sitamgar phir bhī sitam par ab un ko sharmā.e kaun
dil meñ kitne zaḳhm lage haiñ jā ke unheñ dikhlā.e kaun
mausam-e-bārāñ raat añdherī andesha rusvā.ī kā
in hālāt meñ dard baTāne ġham-ḳhāne meñ aa.e kaun
kaash kahīñ vo mil jaate to un se itnā ham kahte
tum ne aag lagā.ī dil meñ lekin ise bujhā.e kaun
jin kī diid ko nazreñ tarseñ jin ke liye dil ho bechain
merī ḳhātir lekin un ko mere ghar tak laa.e kaun
ek hamāre uTh aane se duur talak sannāTā hai
mahfil-e-yārāñ suunī paḌī hai naġhma-e-ulfat gaa.e kaun
mujh ko ḳhabar hai us kī nazar meñ jins-e-vafā kī qadr nahīñ
baat bajā hai lekin yaaro is dil ko samjhā.e kaun
wo hain sitamgar phir bhi sitam par ab un ko sharmae kaun
dil mein kitne zaKHm lage hain ja ke unhen dikhlae kaun
mausam-e-baran raat andheri andesha ruswai ka
in haalat mein dard baTane gham-KHane mein aae kaun
kash kahin wo mil jate to un se itna hum kahte
tum ne aag lagai dil mein lekin ise bujhae kaun
jin ki did ko nazren tarsen jin ke liye dil ho bechain
meri KHatir lekin un ko mere ghar tak lae kaun
ek hamare uTh aane se dur talak sannaTa hai
mahfil-e-yaran suni paDi hai naghma-e-ulfat gae kaun
mujh ko KHabar hai us ki nazar mein jins-e-wafa ki qadr nahin
baat baja hai lekin yaro is dil ko samjhae kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.