wo ham-KHayal nahin phir bhi sath chalta hai
wo ham-KHayal nahin phir bhi sath chalta hai
Syed Iqbal Rizvi Sharib
MORE BYSyed Iqbal Rizvi Sharib
vo ham-ḳhayāl nahīñ phir bhī saath chaltā hai
yahī tazād to jīvan meñ rang bhartā hai
maiñ us kī raa.e se kuchh itnā mutma.in bhī nahīñ
mohar-ba-lab huuñ ki sikka usī kā chaltā hai
maiñ ik charāġh thā tūfāñ se dostī kar lī
ḳhirad na samjhe use par junūñ samajhtā hai
yazīd morcha jiitā thā jang haarā thā
ye sach ragoñ meñ mire inqalāb bhartā hai
us ik ġharīb se itne savāl mat pūchho
jo hāl-e-zār bhī kahte hue hichaktā hai
vo ishtihār meñ sab kuchh hī pā gayā lekin
ġharīb-e-shahr to til til ko ab bhī martā hai
yaqīñ hai us ko sila ḳhuub pā.ūñgā ab to
vo jaañ bhī letā hai aur mushtahar bhī kartā hai
zamīñ ke naaz uThā.egā kaun ai 'shārib'
kisān ab to nirāshā ke ban meñ rahtā hai
wo ham-KHayal nahin phir bhi sath chalta hai
yahi tazad to jiwan mein rang bharta hai
main us ki rae se kuchh itna mutmain bhi nahin
mohar-ba-lab hun ki sikka usi ka chalta hai
main ek charagh tha tufan se dosti kar li
KHirad na samjhe use par junun samajhta hai
yazid morcha jita tha jang haara tha
ye sach ragon mein mere inqalab bharta hai
us ek gharib se itne sawal mat puchho
jo haal-e-zar bhi kahte hue hichakta hai
wo ishtihaar mein sab kuchh hi pa gaya lekin
gharib-e-shahr to til til ko ab bhi marta hai
yaqin hai us ko sila KHub paunga ab to
wo jaan bhi leta hai aur mushtahar bhi karta hai
zamin ke naz uThaega kaun ai 'shaarib'
kisan ab to nirasha ke ban mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.