wo hum nahin hain ki gulshan par iKHtiyar ke baad
wo hum nahin hain ki gulshan par iKHtiyar ke baad
Ateeq Ahmad Ateeq
MORE BYAteeq Ahmad Ateeq
vo ham nahīñ haiñ ki gulshan par iḳhtiyār ke baad
bahār ko bhī taraste raheñ bahār ke baad
nizām-e-dahr jo hai muntashir to hone do
ki nazm-e-dahr sañvartā hai intishār ke baad
abhī to sub.h kī pahlī kiran hī phūTī hai
jamāl-e-sub.h zarā dekhnā nikhār ke baad
qadam qadam pe milegā hayāt-e-nau kā surāġh
balā-kashān-e-mohabbat ko sair-e-dār ke ba.ad
unhīñ se pūchhiye kaif-e-hayāt kyā shai hai
jo mutma.in haiñ ġham-e-zindagī se pyaar ke baad
dar-e-habīb pe baiThā huuñ sar jhukā.e hue
tamām silsila-e-tark-o-iḳhtiyār ke baad
ġham-e-hayāt-o-ġham-e-kā.enāt bhī hai aziiz
kuchh apnī fikr bhī lekin ḳhayāl-e-yār ke baad
ujaal de jo ruḳh-e-shām-e-zindagī ko 'atīq'
vo sub.h aa.egī kis sub.h-e-intizār ke baad
wo hum nahin hain ki gulshan par iKHtiyar ke baad
bahaar ko bhi taraste rahen bahaar ke baad
nizam-e-dahr jo hai muntashir to hone do
ki nazm-e-dahr sanwarta hai intishaar ke baad
abhi to subh ki pahli kiran hi phuTi hai
jamal-e-subh zara dekhna nikhaar ke baad
qadam qadam pe milega hayat-e-nau ka suragh
bala-kashan-e-mohabbat ko sair-e-dar ke baad
unhin se puchhiye kaif-e-hayat kya shai hai
jo mutmain hain gham-e-zindagi se pyar ke baad
dar-e-habib pe baiTha hun sar jhukae hue
tamam silsila-e-tark-o-iKHtiyar ke baad
gham-e-hayat-o-gham-e-kaenat bhi hai aziz
kuchh apni fikr bhi lekin KHayal-e-yar ke baad
ujal de jo ruKH-e-sham-e-zindagi ko 'atiq'
wo subh aaegi kis subh-e-intizar ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.