wo humse lakh mohabbat mein bad-guman se rahe
vo ham se laakh mohabbat meñ bad-gumāñ se rahe
ham un ke saath magar phir bhī naqd-e-jāñ se rahe
lagī haiñ sho'la-bayānī kī tohmateñ aksar
ham un ke shahr meñ har-chand be-zabāñ se rahe
tamāzat-e-ġham-e-daurāñ hameñ jalā na sakī
tire ḳhayāl ke har samt sā.ebāñ se rahe
usī zamīn ke zarroñ meñ kho ga.e ab ham
ki jis zamīñ pe kabhī ban ke āsmāñ se rahe
'hayāt' kis ko thā ilhām jaur-e-pinhāñ kā
ki apne dil pe bazāhir vo mehrbāñ se rahe
wo hum se lakh mohabbat mein bad-guman se rahe
hum un ke sath magar phir bhi naqd-e-jaan se rahe
lagi hain sho'la-bayani ki tohmaten aksar
hum un ke shahr mein har-chand be-zaban se rahe
tamazat-e-gham-e-dauran hamein jala na saki
tere KHayal ke har samt saeban se rahe
usi zamin ke zarron mein kho gae ab hum
ki jis zamin pe kabhi ban ke aasman se rahe
'hayat' kis ko tha ilham jaur-e-pinhan ka
ki apne dil pe bazahir wo mehrban se rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.