wo har jumla adhura bolta hai
vo har jumla adhūrā boltā hai
phir us ke baa'd chehra boltā hai
vo taht-ul-lafz ho yā ho tarannum
ġhazal kis kī hai lahja boltā hai
hai aurat ik salīqe-mand ghar meñ
sajāvaT kā tarīqa boltā hai
jahannum naam likhvā legā apne
buzurgoñ se jo ūñchā boltā hai
ġhazal 'jāved' ne chheḌī hai jab se
jidhar dekho ujālā boltā hai
wo har jumla adhura bolta hai
phir us ke ba'd chehra bolta hai
wo taht-ul-lafz ho ya ho tarannum
ghazal kis ki hai lahja bolta hai
hai aurat ek saliqe-mand ghar mein
sajawaT ka tariqa bolta hai
jahannum nam likhwa lega apne
buzurgon se jo uncha bolta hai
ghazal 'jawed' ne chheDi hai jab se
jidhar dekho ujala bolta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.