wo harf-o-naqsh se Khaali kitab mangta hai
wo harf-o-naqsh se Khaali kitab mangta hai
Mohammad Naim Jawed Naim
MORE BYMohammad Naim Jawed Naim
vo harf-o-naqsh se ḳhālī kitāb māñgtā hai
savāl kartā nahīñ hai javāb māñgtā hai
maiñ saarā saal hī rakhtā huuñ apne zaḳhm hare
vo saarā saal hī taaza gulāb māñgtā hai
maiñ reza reza ise TuuT kar dikhātā huuñ
vo lamhe lamhe kā mujh se hisāb māñgtā hai
sunā hai us kī mohabbat hai māvarā-e-hayāt
so saarā shahr hī marne ke ḳhvāb māñgtā hai
vo is tarah bhī parakhtā hai dostoñ kā ḳhulūs
ki but hai mom kā aur āftāb māñgtā hai
har ek shaḳhs hai us kī karāmatoñ kā asiir
usī se hosh usī se sharāb māñgtā hai
vo pahroñ ghūrtā rahtā hai ā.īnoñ ko 'na'īm'
jo kho chukā hai vo 'ahd-e-shabāb māñgtā hai
wo harf-o-naqsh se KHali kitab mangta hai
sawal karta nahin hai jawab mangta hai
main sara sal hi rakhta hun apne zaKHm hare
wo sara sal hi taza gulab mangta hai
main reza reza ise TuT kar dikhata hun
wo lamhe lamhe ka mujh se hisab mangta hai
suna hai us ki mohabbat hai mawara-e-hayat
so sara shahr hi marne ke KHwab mangta hai
wo is tarah bhi parakhta hai doston ka KHulus
ki but hai mom ka aur aaftab mangta hai
har ek shaKHs hai us ki karamaton ka asir
usi se hosh usi se sharab mangta hai
wo pahron ghurta rahta hai aainon ko 'na'im'
jo kho chuka hai wo 'ahd-e-shabab mangta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.