wo hasin jalwa-ba-dosh hai koi parda hai na naqab hai
wo hasin jalwa-ba-dosh hai koi parda hai na naqab hai
Aiman Amritsari
MORE BYAiman Amritsari
vo hasīn jalva-ba-dosh hai koī parda hai na naqāb hai
tirā parda hai tirī pardagī ye hijāb terā hijāb hai
tirī chashm-e-mast ke daur meñ koī jaam jām-e-sharāb hai
jo hai ahl-e-dīd vo mast hai jo hai ahl-e-dil vo ḳharāb hai
jo taqāzā thā to vo tuur thā jo talab thī to vo zuhūr thā
na taqāzā hai na talab hai ab na savāl hai na javāb hai
ise saath le chalo rahbaro ki zarā na.ī hai rah-e-adam
ye savār-e-umr-e-ravāñ mirā sar-e-rāh pā-ba-rikāb hai
use khel samjhā to bach rahā na samajh sakā to ulajh gayā
use aañkh khol ke dekhnā tirī zindagī kā ye ḳhvāb hai
na hai ḳhauf ahl-e-kitāb se na hirās ahl-e-hisāb se
vo karam hai mere karīm kā na hisāb hai na kitāb hai
kisī ilm se na ise ġharaz na kisī adab se hai vāsta
tirā dard jis kā hisāb hai tirā husn jis kī kitāb hai
dil-e-pur-havas tujhe sair-e-hastī-e-be-sukūñ kī majāl kyā
ki misāl-e-mauj-e-ravāñ hai ye tirī chashm chashm-e-habāb hai
na ulajh numā.ish-e-dahr ke kabhī dām-e-naqsh-o-nigār meñ
jo nigār hai vo parīda hai jo hai naqsh naqsh-bar-āb hai
vahī nuur jis se haiñ nuur nuur hazāroñ nayyar-o-mehr-o-māh
jo usī ke saa.e meñ aa gayā faqat us ko diid kī taab hai
ba-ḳhulūs 'aiman'-e-be-navā usī āstāñ pe jabīñ jhukā
koī be-murād nahīñ gayā shah-e-do-jahāñ kī janāb hai
wo hasin jalwa-ba-dosh hai koi parda hai na naqab hai
tera parda hai teri pardagi ye hijab tera hijab hai
teri chashm-e-mast ke daur mein koi jam jam-e-sharab hai
jo hai ahl-e-did wo mast hai jo hai ahl-e-dil wo KHarab hai
jo taqaza tha to wo tur tha jo talab thi to wo zuhur tha
na taqaza hai na talab hai ab na sawal hai na jawab hai
ise sath le chalo rahbaro ki zara nai hai rah-e-adam
ye sawar-e-umr-e-rawan mera sar-e-rah pa-ba-rikab hai
use khel samjha to bach raha na samajh saka to ulajh gaya
use aankh khol ke dekhna teri zindagi ka ye KHwab hai
na hai KHauf ahl-e-kitab se na hiras ahl-e-hisab se
wo karam hai mere karim ka na hisab hai na kitab hai
kisi ilm se na ise gharaz na kisi adab se hai wasta
tera dard jis ka hisab hai tera husn jis ki kitab hai
dil-e-pur-hawas tujhe sair-e-hasti-e-be-sukun ki majal kya
ki misal-e-mauj-e-rawan hai ye teri chashm chashm-e-habab hai
na ulajh numaish-e-dahr ke kabhi dam-e-naqsh-o-nigar mein
jo nigar hai wo parida hai jo hai naqsh naqsh-bar-ab hai
wahi nur jis se hain nur nur hazaron nayyar-o-mehr-o-mah
jo usi ke sae mein aa gaya faqat us ko did ki tab hai
ba-KHulus 'aiman'-e-be-nawa usi aastan pe jabin jhuka
koi be-murad nahin gaya shah-e-do-jahan ki janab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.