wo hi andaz-e-dilbari hai abhi
vo hī andāz-e-dilbarī hai abhī
us kī bātoñ meñ dilkashī hai abhī
kashti-e-dil bahak na jaa.e kahīñ
mauj-dar-mauj gum rahī hai abhī
kisī tūfān kā ishāra hai
ye jo saffāk ḳhāmushī hai abhī
raakh se ab bhī uTh rahā hai dhuāñ
yād-e-māzī sulag rahī hai abhī
'ishq meñ sab to had se paar hue
par hameñ ehtiyāt sī hai abhī
'ahd-o-paimāñ kareñge fursat se
koī jaldī nahīñ paḌī hai abhī
kyā mohabbat hī kī 'alāmat hai
us kī palkoñ meñ jo namī hai abhī
wo hi andaz-e-dilbari hai abhi
us ki baaton mein dilkashi hai abhi
kashti-e-dil bahak na jae kahin
mauj-dar-mauj gum rahi hai abhi
kisi tufan ka ishaara hai
ye jo saffak KHamushi hai abhi
rakh se ab bhi uTh raha hai dhuan
yaad-e-mazi sulag rahi hai abhi
'ishq mein sab to had se par hue
par hamein ehtiyat si hai abhi
'ahd-o-paiman karenge fursat se
koi jaldi nahin paDi hai abhi
kya mohabbat hi ki 'alamat hai
us ki palkon mein jo nami hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.