wo hirasat mein jo insan liye jate hain
vo hirāsat meñ jo insān liye jaate haiñ
apnī tafrīh kā sāmān liye jaate haiñ
kal jise ghar se uThā le ga.ī ḳhākī vardī
aaj māñ-bāp use shamshān liye jaate haiñ
ba.ad muTh-beḌ ke tamġhe ye taraqqī dekho
marne vaale hī kā ehsān liye jaate haiñ
jism chhalnī hai magar haath rahe siine par
haa.e dil meñ koī armān liye jaate haiñ
kyā pata un ko kitābeñ haiñ ki vish kī puḌiyāñ
bhar ke baste meñ jo nādān liye jaate haiñ
ye bhajan gaane meñ hī mast kiye band āñkheñ
aur ghar lauT ke mehmān liye jaate haiñ
ek ma.asūm kā sar kaaT ke phir devī se
apnī ḳhush-hālī ke vardān liye jaate haiñ
nīm-behosh hai ghāyal hai qafas meñ 'panchhī'
aur par noch ke shaitān liye jaate haiñ
wo hirasat mein jo insan liye jate hain
apni tafrih ka saman liye jate hain
kal jise ghar se uTha le gai KHaki wardi
aaj man-bap use shamshan liye jate hain
baad muTh-beD ke tamghe ye taraqqi dekho
marne wale hi ka ehsan liye jate hain
jism chhalni hai magar hath rahe sine par
hae dil mein koi arman liye jate hain
kya pata un ko kitaben hain ki wish ki puDiyan
bhar ke baste mein jo nadan liye jate hain
ye bhajan gane mein hi mast kiye band aankhen
aur ghar lauT ke mehman liye jate hain
ek masum ka sar kaT ke phir dewi se
apni KHush-haali ke wardan liye jate hain
nim-behosh hai ghayal hai qafas mein 'panchhi'
aur par noch ke shaitan liye jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.