wo honT jo kisi sazish ke tane-bane lage
vo hoñT jo kisī sāzish ke tāne-bāne lage
javāb ban nahīñ paayā to muskurāne lage
muarriḳhīn batāte haiñ do diloñ se uThī
hameñ jo aag bujhāte hue zamāne lage
hamāre ahd meñ ik ilm hai ma.īshat bhī
hamāre ahd ke suqrāt bhī kamāne lage
hamārā us se bichhaḌnā bhī rā.egāñ hī gayā
use Thikāna milā hai na ham Thikāne lage
galī meñ raat achānak hī chand saa.e uThe
aur us ke kamre kā darvāza khaTkhaTāne lage
kamand jin ko sitāroñ pe Dālnī thī 'rāz'
vo sar-phire to zamīñ par diye bujhāne lage
wo honT jo kisi sazish ke tane-bane lage
jawab ban nahin paya to muskurane lage
muarriKHin batate hain do dilon se uThi
hamein jo aag bujhate hue zamane lage
hamare ahd mein ek ilm hai maishat bhi
hamare ahd ke suqraat bhi kamane lage
hamara us se bichhaDna bhi raegan hi gaya
use Thikana mila hai na hum Thikane lage
gali mein raat achanak hi chand sae uThe
aur us ke kamre ka darwaza khaTkhaTane lage
kamand jin ko sitaron pe Dalni thi 'raaz'
wo sar-phire to zamin par diye bujhane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.