wo hui choT mohabbat mein ki bas man gaya
vo huī choT mohabbat meñ ki bas maan gayā
koī kāfir thā jo le kar mirā īmān gayā
thī bahut vahshat-asar kashmakash-e-aql-o-junūñ
maiñ ne dāman ko sañbhālā to garebān gayā
ishq meñ kuchh na rahā dāġh-e-mohabbat ke sivā
dil gayā hosh gayā ghar gayā sāmān gayā
tauba tauba mirī tauba are tauba tauba
kyā ghaḌī thī ki maiñ vaa.iz kā kahā maan gayā
dil ke dene kā ye anjām are vaah re ishq
ek to jaan ga.ī dūsre ehsān gayā
rind ne sochā ki dam lene kī fursat de do
shaiḳh jī ḳhair manāte haiñ ki tūfān gayā
ishq ko 'ḳhizr' abhī fikr se kar ke ta.abīr
kāfirī ke liye ka.abe meñ musalmān gayā
wo hui choT mohabbat mein ki bas man gaya
koi kafir tha jo le kar mera iman gaya
thi bahut wahshat-asar kashmakash-e-aql-o-junun
main ne daman ko sanbhaala to gareban gaya
ishq mein kuchh na raha dagh-e-mohabbat ke siwa
dil gaya hosh gaya ghar gaya saman gaya
tauba tauba meri tauba are tauba tauba
kya ghaDi thi ki main waiz ka kaha man gaya
dil ke dene ka ye anjam are wah re ishq
ek to jaan gai dusre ehsan gaya
rind ne socha ki dam lene ki fursat de do
shaiKH ji KHair manate hain ki tufan gaya
ishq ko 'KHizr' abhi fikr se kar ke tabir
kafiri ke liye kabe mein musalman gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.