wo husn aankh se dekha hua yaqin mujhe
vo husn aañkh se dekhā huā yaqīn mujhe
agarche roz batāte the zā.erīn mujhe
maiñ aap apnā tamāsha tamāsh-gāhoñ meñ
tamāshā-gar kyoñ samajhtā tamāshbīn mujhe
har ek ko maiñ parakhtā thā dil kī āñkhoñ se
bahut qarīb dikhātī thī dūrbīn mujhe
maiñ āstīn meñ palte huoñ ko jāntā huuñ
so dushmanoñ meñ samajh leñ munāfiqīn mujhe
maiñ raat un kī tarah ḳhaak chhāntā rahā huuñ
so dasht-zād samajhte rahe makīn mujhe
maiñ munkashif hī nahīñ ho rahā thā ḳhud un par
baġhaur paḌhte rahe the ka.ī zahīn mujhe
wo husn aankh se dekha hua yaqin mujhe
agarche roz batate the zaerin mujhe
main aap apna tamasha tamash-gahon mein
tamasha-gar kyon samajhta tamashbin mujhe
har ek ko main parakhta tha dil ki aankhon se
bahut qarib dikhati thi durbin mujhe
main aastin mein palte huon ko jaanta hun
so dushmanon mein samajh len munafiqin mujhe
main raat un ki tarah KHak chhanta raha hun
so dasht-zad samajhte rahe makin mujhe
main munkashif hi nahin ho raha tha KHud un par
baghaur paDhte rahe the kai zahin mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.