wo husn-e-barq-talat ka meri aankhon mein ghar karna
wo husn-e-barq-talat ka meri aankhon mein ghar karna
Kaukab Shahjahanpuri
MORE BYKaukab Shahjahanpuri
vo husn-e-barq-tal.at kā mirī āñkhoñ meñ ghar karnā
vo manzar phir zarā ai jazb-e-dil pesh-e-nazar karnā
ġham-e-hastī meñ phir hone lagī hai be-ḳhudī zaa.il
zarā phir ik nazar phir do-jahāñ se be-ḳhabar karnā
ḳhudārā chhoḌ de ai chāra-farmā chashm-e-sāqī par
hazīñ dil ko nashāt-e-zindagī se bahra-var karnā
koī hasrat ho kuchh to zād-e-rāh-e-zīst mil jaa.e
bahut dushvār hai be-mudda.ā shām-o-sahar karnā
na ġhairoñ ne mujhe pūchhā na apnoñ ne mujhe samjhā
mire hissa hai 'kaukab' zindagī tanhā basar karnā
wo husn-e-barq-talat ka meri aankhon mein ghar karna
wo manzar phir zara ai jazb-e-dil pesh-e-nazar karna
gham-e-hasti mein phir hone lagi hai be-KHudi zail
zara phir ek nazar phir do-jahan se be-KHabar karna
KHudara chhoD de ai chaara-farma chashm-e-saqi par
hazin dil ko nashat-e-zindagi se bahra-war karna
koi hasrat ho kuchh to zad-e-rah-e-zist mil jae
bahut dushwar hai be-muddaa sham-o-sahar karna
na ghairon ne mujhe puchha na apnon ne mujhe samjha
mere hissa hai 'kaukab' zindagi tanha basar karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.