wo husn-e-sim-tan hai aur main hun
wo husn-e-sim-tan hai aur main hun
Zakir Husain Husaini Zakir
MORE BYZakir Husain Husaini Zakir
vo husn-e-sīm-tan hai aur maiñ huuñ
tar-o-tāza chaman hai aur maiñ huuñ
visāl us kā nasīboñ se milā hai
vo ḳhushbū sā badan hai aur maiñ huuñ
khiñchī shamshīr sā baiThā hai koī
kisī kā bāñkpan hai aur maiñ huuñ
sahar tak aaj to mahkegī mahfil
vo jān-e-anjuman hai aur maiñ huuñ
ġharaz duniyā se kuchh mujh ko nahīñ hai
mirā dīvāna-pan hai aur maiñ huuñ
chalegī guftugū tā-umr yūñhī
vo merā ham-suḳhan hai aur maiñ huuñ
use paanā hai 'zākir' pā hī lūñgā
mire dil kī lagan hai aur maiñ huuñ
wo husn-e-sim-tan hai aur main hun
tar-o-taza chaman hai aur main hun
visal us ka nasibon se mila hai
wo KHushbu sa badan hai aur main hun
khinchi shamshir sa baiTha hai koi
kisi ka bankpan hai aur main hun
sahar tak aaj to mahkegi mahfil
wo jaan-e-anjuman hai aur main hun
gharaz duniya se kuchh mujh ko nahin hai
mera diwana-pan hai aur main hun
chalegi guftugu ta-umr yunhi
wo mera ham-suKHan hai aur main hun
use pana hai 'zakir' pa hi lunga
mere dil ki lagan hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.