wo husn-e-zan se jae na husn-e-yaqin se hum
vo husn-e-zan se jaa.e na husn-e-yaqīñ se ham
baiThe haiñ shart bāñdh ke ek mah-jabīñ se ham
ham ne bisāt-e-ilm-o-siyāsat to jiit lī
dāman ko sī rahe haiñ magar āstīñ se ham
logoñ ne āsmāñ pe kamandeñ bhī Daal diiñ
fāriġh nahīñ haiñ ab bhī kaf-e-sandalīñ se ham
koī to mauj aa ke hameñ bhī uchhāl de
kab tak paḌe raheñ sadaf-e-tah-nashīñ se ham
dekhā to juz alam nahīñ hañgāma-e-vajūd
be-kār munfa.il rahe duniyā-o-dīñ se ham
taḳhlīq-e-sher ke liye lāzim hai ḳhūn-e-dil
fasleñ ugā ke laa.eñ haiñ mushkil zamīñ se ham
wo husn-e-zan se jae na husn-e-yaqin se hum
baiThe hain shart bandh ke ek mah-jabin se hum
hum ne bisat-e-ilm-o-siyasat to jit li
daman ko si rahe hain magar aastin se hum
logon ne aasman pe kamanden bhi Dal din
farigh nahin hain ab bhi kaf-e-sandalin se hum
koi to mauj aa ke hamein bhi uchhaal de
kab tak paDe rahen sadaf-e-tah-nashin se hum
dekha to juz alam nahin hangama-e-wajud
be-kar munfail rahe duniya-o-din se hum
taKHliq-e-sher ke liye lazim hai KHun-e-dil
faslen uga ke laen hain mushkil zamin se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.