wo ek gali rahi din bhar nigah mein meri
vo ik galī rahī din bhar nigāh meñ merī
aur ik hikāyat-e-gul intibāh meñ merī
dil-o-nigāh meñ hairat ke rang bhartā huuñ
ye kā.enāt hai kis ishtibāh meñ merī
ye kyā tazabzub-e-be-intihā hai āñkhoñ meñ
kisī tarah vo khule mujh pe chaah meñ merī
sharāb tez hai ik shaam hai charāġh bhī hai
aur intizār hai husn-e-sipāh meñ merī
maiñ apne ḳhālī dinoñ meñ palaT ke dekhtā huuñ
vo ek yaad salāmat hai raah meñ merī
fasurdagī dam-e-āḳhir mazīd thī lekin
vo ḳhvāb tak to rahā hai panāh meñ merī
ye zaḳhm mere hī nāḳhun se rang rang hue
kisī ko daḳhl nahīñ bārgāh meñ merī
wo ek gali rahi din bhar nigah mein meri
aur ek hikayat-e-gul intibah mein meri
dil-o-nigah mein hairat ke rang bharta hun
ye kaenat hai kis ishtibah mein meri
ye kya tazabzub-e-be-intiha hai aankhon mein
kisi tarah wo khule mujh pe chah mein meri
sharab tez hai ek sham hai charagh bhi hai
aur intizar hai husn-e-sipah mein meri
main apne KHali dinon mein palaT ke dekhta hun
wo ek yaad salamat hai rah mein meri
fasurdagi dam-e-aKHir mazid thi lekin
wo KHwab tak to raha hai panah mein meri
ye zaKHm mere hi naKHun se rang rang hue
kisi ko daKHl nahin bargah mein meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.