wo ek nazar jo dil se jigar tak utar gai
vo ik nazar jo dil se jigar tak utar ga.ī
afsāna-e-hayāt kī takmīl kar ga.ī
kyā pūchhte ho mujh se javānī kidhar ga.ī
bas itnā yaad hai idhar aa.ī udhar ga.ī
un kī nigāh-e-lutf ye ehsān kar ga.ī
dāmān-e-dil umiid ke phūloñ se bhar ga.ī
kyā jaane koī kaisī qayāmat uThā.egī
dil se nikal ke aah falak tak agar ga.ī
apnī jagah qarīne se har shai hai bazm meñ
vo kyā ga.e ki raunaq-e-dīvār-o-dar ga.ī
do din meñ un ke phuul se chehre ko kyā huā
do din meñ un kī chāñd sī sūrat utar ga.ī
'zaidī' ba-faiz-e-marg ye sābit huā ki ziist
motī kī ik laḌī thī ki TuuTī bikhar ga.ī
wo ek nazar jo dil se jigar tak utar gai
afsana-e-hayat ki takmil kar gai
kya puchhte ho mujh se jawani kidhar gai
bas itna yaad hai idhar aai udhar gai
un ki nigah-e-lutf ye ehsan kar gai
daman-e-dil umid ke phulon se bhar gai
kya jaane koi kaisi qayamat uThaegi
dil se nikal ke aah falak tak agar gai
apni jagah qarine se har shai hai bazm mein
wo kya gae ki raunaq-e-diwar-o-dar gai
do din mein un ke phul se chehre ko kya hua
do din mein un ki chand si surat utar gai
'zaidi' ba-faiz-e-marg ye sabit hua ki zist
moti ki ek laDi thi ki TuTi bikhar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.