wo ek shajar jise ajdad ne lagaya tha
vo ik shajar jise ajdād ne lagāyā thā
usī ko kaaT diyā jis kā sar pe saaya thā
vo baat baat meñ phir aaj mujh se ruuTh gayā
baḌe hī pyaar se jis ko manā ke laayā thā
vo ham-navā thā hamārā vo koī ġhair na thā
jo ghar meñ aag hamāre lagāne aaya thā
vahī to aaj hamāre paḌā huā hai gale
baḌe ḳhulūs se jis ko gale lagāyā thā
hamāre sher ko aksar vo paḌhtā rahtā hai
jo be-ḳhudī meñ kabhī ham ne gungunāyā thā
hameñ vo yaad hai ab tak sabaq mohabbat kā
ki harf harf jise aap ne paḌhāyā thā
agar qusūr nahīñ thā koī havāoñ kā
to phir charāg ko kis ne mire bujhāyā thā
vo aaj haath se mere nikal gayā 'shādāñ'
ki jis ko maiñ ne mashaqqat ke ba.ad paayā thā
wo ek shajar jise ajdad ne lagaya tha
usi ko kaT diya jis ka sar pe saya tha
wo baat baat mein phir aaj mujh se ruTh gaya
baDe hi pyar se jis ko mana ke laya tha
wo ham-nawa tha hamara wo koi ghair na tha
jo ghar mein aag hamare lagane aaya tha
wahi to aaj hamare paDa hua hai gale
baDe KHulus se jis ko gale lagaya tha
hamare sher ko aksar wo paDhta rahta hai
jo be-KHudi mein kabhi hum ne gungunaya tha
hamein wo yaad hai ab tak sabaq mohabbat ka
ki harf harf jise aap ne paDhaya tha
agar qusur nahin tha koi hawaon ka
to phir charag ko kis ne mere bujhaya tha
wo aaj hath se mere nikal gaya 'shadan'
ki jis ko main ne mashaqqat ke baad paya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.