wo ek shajar jo kisi rut mein be-samar na raha
vo ik shajar jo kisī rut meñ be-samar na rahā
ye kis ne kaaT diiñ shāḳheñ ki phir shajar na rahā
kuchh aur sochtā kab āñdhiyoñ ne mohlat dī
mujhe bas itnī ḳhabar thī ki merā ghar na rahā
na jaane kab se yuuñ hī saath saath hai mere
vo ajnabī jo kabhī merā ham-safar na rahā
hatheliyoñ se chhupāyā charāġh-e-dil us ne
yahāñ talak ki havā kā koī asar na rahā
salīqa aa gayā jab ḳhud pe vaar karne kā
to dushmanoñ kā koī ḳhauf koī Dar na rahā
vo rāste se jo palTā to ruk gayā maiñ bhī
qadam qadam na rahe phir safar safar na rahā
nazar se us ne girāyā kuchh is tarah 'ḳhāvar'
ki maiñ ḳhuud apnī nigāhoñ meñ mo'atabar na rahā
wo ek shajar jo kisi rut mein be-samar na raha
ye kis ne kaT din shaKHen ki phir shajar na raha
kuchh aur sochta kab aandhiyon ne mohlat di
mujhe bas itni KHabar thi ki mera ghar na raha
na jaane kab se yun hi sath sath hai mere
wo ajnabi jo kabhi mera ham-safar na raha
hatheliyon se chhupaya charagh-e-dil us ne
yahan talak ki hawa ka koi asar na raha
saliqa aa gaya jab KHud pe war karne ka
to dushmanon ka koi KHauf koi Dar na raha
wo raste se jo palTa to ruk gaya main bhi
qadam qadam na rahe phir safar safar na raha
nazar se us ne giraya kuchh is tarah 'KHawar'
ki main KHud apni nigahon mein mo'atabar na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.