wo insan dar haqiqat sahib-e-kirdar hota hai
vo insāñ dar haqīqat sāhib-e-kirdār hotā hai
ki jis insāñ ke dil meñ jazba-e-īsār hotā hai
hasīñ husn-e-amal se ishq kā darbār hotā hai
mahal ḳhvāboñ kā laġhzish ke sabab mismār hotā hai
ye sach hai be-sabab dīvāngī hotī nahīñ yaaro
shu.ūr-e-ishq bhī to ziist kā āzār hotā hai
yaqīñ kiije nahīñ kuchh fā.eda mazmūn-bandī se
nazar ho jis kī laġhzish par vahī fankār hotā hai
nigāh-o-qalb ho jaate haiñ raushan yak-ba-yak mere
mujhe rāhoñ meñ un kā jab kabhī dīdār hotā hai
chalo 'ādil' gile shikvoñ kī tum bhī raah ko chhoḌo
gile shikvoñ kā ġham bhī ziist kā āzār hotā hai
wo insan dar haqiqat sahib-e-kirdar hota hai
ki jis insan ke dil mein jazba-e-isar hota hai
hasin husn-e-amal se ishq ka darbar hota hai
mahal KHwabon ka laghzish ke sabab mismar hota hai
ye sach hai be-sabab diwangi hoti nahin yaro
shuur-e-ishq bhi to zist ka aazar hota hai
yaqin kije nahin kuchh faeda mazmun-bandi se
nazar ho jis ki laghzish par wahi fankar hota hai
nigah-o-qalb ho jate hain raushan yak-ba-yak mere
mujhe rahon mein un ka jab kabhi didar hota hai
chalo 'adil' gile shikwon ki tum bhi rah ko chhoDo
gile shikwon ka gham bhi zist ka aazar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.