Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo insan jo shikar-e-gardish-e-ayyam hota hai

Ghubar Kiratpuri

wo insan jo shikar-e-gardish-e-ayyam hota hai

Ghubar Kiratpuri

MORE BYGhubar Kiratpuri

    vo insāñ jo shikār-e-gardish-e-ayyām hotā hai

    bhalā kartā hai duniyā magar badnām hotā hai

    jo dekho ġhaur se har sher ik ilhām hotā hai

    sabhī ash.ār se zāhir koī paiġhām hotā hai

    dahal jaate haiñ dil kaliyoñ ke gulshan thartharātā hai

    chaman meñ jab koī taa.ir asīr-e-dām hotā hai

    ḳhirad haa.il huā kartī hai jab bhī rāh-e-ulfat meñ

    junūn-e-ishq-e-sādiq muft meñ badnām hotā hai

    jab aa jaatā hai ġhālib zor-e-bātil haq-parastoñ par

    nizām-e-jabr se har-sū bapā kohrām hotā hai

    ye duniyā hai ajab is meñ bhalā kyā kyā nahīñ hotā

    yahāñ ma.asūm insāñ morid-e-ilzām hotā hai

    hai mai-ḳhāna 'ġhubār' is meñ kisī ko haq nahīñ miltā

    zabardastī uThā le jo usī jaam hotā hai

    wo insan jo shikar-e-gardish-e-ayyam hota hai

    bhala karta hai duniya ka magar badnam hota hai

    jo dekho ghaur se har sher ek ilham hota hai

    sabhi ashaar se zahir koi paigham hota hai

    dahal jate hain dil kaliyon ke gulshan thartharaata hai

    chaman mein jab koi tair asir-e-dam hota hai

    KHirad hail hua karti hai jab bhi rah-e-ulfat mein

    junun-e-ishq-e-sadiq muft mein badnam hota hai

    jab aa jata hai ghaalib zor-e-baatil haq-paraston par

    nizam-e-jabr se har-su bapa kohram hota hai

    ye duniya hai ajab is mein bhala kya kya nahin hota

    yahan masum insan morid-e-ilzam hota hai

    hai mai-KHana 'ghubar' is mein kisi ko haq nahin milta

    zabardasti uTha le jo usi ka jam hota hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now