Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo is liye bhi mere sath aa khaDa hua hai

Sadia Swera

wo is liye bhi mere sath aa khaDa hua hai

Sadia Swera

MORE BYSadia Swera

    vo is liye bhī mire saath aa khaḌā huā hai

    ki maiñ ne us ke liye rāsta diyā huā hai

    tamām log usī ḳhushī sochte haiñ

    magar use to hamesha mas.ala huā hai

    yaqīn kar ki maiñ ne jab bhī ḳhud meñ jhāñkā hai

    hazār baar mirā us se sāmnā huā hai

    mire darūñ bhī koī jang chal rahī hai idhar

    aur ird-gird bhī ik mā'raka lagā huā hai

    aur ek maiñ huuñ ki uktā ga.ī huuñ ḳhud se bhī

    jise bhī dekho kisī kaam meñ lagā huā hai

    ḳharīd rakkhā hai sab ko tumhārī āñkhoñ ne

    miTā huā hai koī aur koī jhukā huā hai

    vo apne āḳhirī hone pe hai ḳhafā mujh se

    so merī pahlī mohabbat se bhī jalā huā hai

    ai ham-safar tumheñ pahle batā rahī huuñ maiñ

    mire nasīb meñ ik hādisa likhā huā hai

    vagarna is meñ to merā koī kamāl nahīñ

    ye panjtan ke tavassul se mo'jiza huā hai

    wo is liye bhi mere sath aa khaDa hua hai

    ki main ne us ke liye rasta diya hua hai

    tamam log usi ki KHushi ka sochte hain

    magar use to hamesha hi masala hua hai

    yaqin kar ki main ne jab bhi KHud mein jhanka hai

    hazar bar mera us se samna hua hai

    mere darun bhi koi jang chal rahi hai idhar

    aur ird-gird bhi ek ma'raka laga hua hai

    aur ek main hun ki ukta gai hun KHud se bhi

    jise bhi dekho kisi kaam mein laga hua hai

    KHarid rakkha hai sab ko tumhaari aankhon ne

    miTa hua hai koi aur koi jhuka hua hai

    wo apne aaKHiri hone pe hai KHafa mujh se

    so meri pahli mohabbat se bhi jala hua hai

    ai ham-safar tumhein pahle bata rahi hun main

    mere nasib mein ek hadisa likha hua hai

    wagarna is mein to mera koi kamal nahin

    ye panjtan ke tawassul se mo'jiza hua hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now