wo ishq ki maKHsus ada ko nahin samjha
vo ishq kī maḳhsūs adā ko nahīñ samjhā
nādān abhī ḳhū-e-vafā ko nahīñ samjhā
taqdīr se bezār hai tadbīr se nālāñ
afsos hai fir.aun duā ko nahīñ samjhā
vo ishq kī manzil ko kabhī pā nahīñ saktā
jo shaḳhs ki andāz-e-jafā ko nahīñ samjhā
kartā na kabhī chaak garebān ko majnūñ
kam-fahm thā vo sabr-o-razā ko nahīñ samjhā
kyā jaane vo hai kaun se ausāf kā mālik
jo shaḳhs kabhī jūd-o-saḳhā ko nahīñ samjhā
mahbūb thā kal aaj hiqārat ke hai dar pe
kyā samjhegā jo apnī ḳhatā ko nahīñ samjhā
isrār tajallī kā jo kartā hai musalsal
vo maslahat-e-jalva-numā ko nahīñ samjhā
jhuktā hai jo zālim ke kisī zulm ke aage
kyoñ saaf na kah duuñ vo ḳhudā ko nahīñ samjhā
maiñ is ke liye rakhtā huuñ iḳhlās-o-mohabbat
jo shaḳhs abhī sidq-o-safā ko nahīñ samjhā
girtā na kabhī zulmat-o-zillat ke gaḌhe meñ
sad-haif ki vo dār-e-fanā ko nahīñ samjhā
is ziist ke maqsad ko jo samjhā nahīñ 'sā.ir'
sach jāniye vo rāz-e-baqā ko nahīñ samjhā
wo ishq ki maKHsus ada ko nahin samjha
nadan abhi KHu-e-wafa ko nahin samjha
taqdir se bezar hai tadbir se nalan
afsos hai firaun dua ko nahin samjha
wo ishq ki manzil ko kabhi pa nahin sakta
jo shaKHs ki andaz-e-jafa ko nahin samjha
karta na kabhi chaak gareban ko majnun
kam-fahm tha wo sabr-o-raza ko nahin samjha
kya jaane wo hai kaun se ausaf ka malik
jo shaKHs kabhi jud-o-saKHa ko nahin samjha
mahbub tha kal aaj hiqarat ke hai dar pe
kya samjhega jo apni KHata ko nahin samjha
israr tajalli ka jo karta hai musalsal
wo maslahat-e-jalwa-numa ko nahin samjha
jhukta hai jo zalim ke kisi zulm ke aage
kyon saf na kah dun wo KHuda ko nahin samjha
main is ke liye rakhta hun iKHlas-o-mohabbat
jo shaKHs abhi sidq-o-safa ko nahin samjha
girta na kabhi zulmat-o-zillat ke gaDhe mein
sad-haif ki wo dar-e-fana ko nahin samjha
is zist ke maqsad ko jo samjha nahin 'sair'
sach jaaniye wo raaz-e-baqa ko nahin samjha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.