wo jaane kis liye bandish lagae baiThe hain
vo jaane kis liye bandish lagā.e baiThe haiñ
hasīn chehre ko mujh se chhupā.e baiThe haiñ
tumhāre hijr ke sadme uThā.e baiThe haiñ
ki zaḳhm siine pe kitne hī khaa.e baiThe haiñ
zamāna samjhegā kyā hāl-e-dil raqīboñ kā
diyoñ ke dard ko donoñ dabā.e baiThe haiñ
huī hai un se jo ulfat batā nahīñ sakte
ye raaz dil se ham apne lagā.e baiThe haiñ
ham un ke ranj-o-alam kā surūr pī pī kar
laboñ pe un ke tabassum sajā.e baiThe haiñ
'ajīb rang 'ajab shoḳhiyāñ 'ajab hai nigāh
faqat 'hasan' hai jo in ko nibhā.e baiThe haiñ
wo jaane kis liye bandish lagae baiThe hain
hasin chehre ko mujh se chhupae baiThe hain
tumhaare hijr ke sadme uThae baiThe hain
ki zaKHm sine pe kitne hi khae baiThe hain
zamana samjhega kya haal-e-dil raqibon ka
diyon ke dard ko donon dabae baiThe hain
hui hai un se jo ulfat bata nahin sakte
ye raaz dil se hum apne lagae baiThe hain
hum un ke ranj-o-alam ka surur pi pi kar
labon pe un ke tabassum sajae baiThe hain
'ajib rang 'ajab shoKHiyan 'ajab hai nigah
faqat 'hasan' hai jo in ko nibhae baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.