wo jab angDai le kar husn ka aalam dikhate hain
vo jab añgḌā.ī le kar husn kā aalam dikhāte haiñ
dil-e-majrūh ke zaḳhmoñ ke Tāñke TuuT jaate haiñ
sar-e-gor-e-ġharībāñ aa ke fitne kyoñ uThāte haiñ
qayāmat hai adam ke sone vāloñ ko jagāte haiñ
sitam to dekhiye kis tarah hamdardī jatāte haiñ
idhar dam toḌtā huuñ maiñ udhar vo muskurāte haiñ
abhī kamsin haiñ rasm-e-ta.aziyat aatī nahīñ un ko
ye kyā kam hai mire phūloñ meñ baiThe muskurāte haiñ
kaleja thaam leñ ab apnā apnā dekhne vaale
qayāmat hai harīm-e-nāz kā parda uThāte haiñ
gharoñ par un ke yā-rab phuul barseñ aag ban ban kar
jo rū tinke hamāre āshiyāne ke jalāte haiñ
kahāñ haiñ ab 'rashīd'-o-'anjum'-o-'jāved' ai 'safdar'
sab is bazm-e-adab se rafta rafta uThte jaate haiñ
wo jab angDai le kar husn ka aalam dikhate hain
dil-e-majruh ke zaKHmon ke Tanke TuT jate hain
sar-e-gor-e-ghariban aa ke fitne kyon uThate hain
qayamat hai adam ke sone walon ko jagate hain
sitam to dekhiye kis tarah hamdardi jatate hain
idhar dam toDta hun main udhar wo muskuraate hain
abhi kamsin hain rasm-e-taziyat aati nahin un ko
ye kya kam hai mere phulon mein baiThe muskuraate hain
kaleja tham len ab apna apna dekhne wale
qayamat hai harim-e-naz ka parda uThate hain
gharon par un ke ya-rab phul barsen aag ban ban kar
jo ru tinke hamare aashiyane ke jalate hain
kahan hain ab 'rashid'-o-'anjum'-o-'jawed' ai 'safdar'
sab is bazm-e-adab se rafta rafta uThte jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.