wo jalane ko bulata hai mujhe
vo jalāne ko bulātā hai mujhe
sham.a samjhā hai jalātā hai mujhe
kaun dīvāna banātā hai mujhe
aa.e bin jaanā bhī aatā hai mujhe
ishq kuchh kahtā hai nāseh kuchh aur
shauq kuchh aur batātā hai mujhe
āshiqī sāmne aatī hai vahāñ
yahī pahlū to dabātā hai mujhe
den hai us kī ḳhushī bhī ġham bhī
in khilaunoñ se khilātā hai mujhe
ḳhaak hone kī bhī ummīd nahīñ
ġham kuchh is tarah jalātā hai mujhe
un pe ab dekhiye 'ḳhushtar' marnā
mārtā hai ki jilātā hai mujhe
wo jalane ko bulata hai mujhe
shama samjha hai jalata hai mujhe
kaun diwana banata hai mujhe
aae bin jaana bhi aata hai mujhe
ishq kuchh kahta hai naseh kuchh aur
shauq kuchh aur batata hai mujhe
aashiqi samne aati hai wahan
yahi pahlu to dabaata hai mujhe
den hai us ki KHushi bhi gham bhi
in khilaunon se khilata hai mujhe
KHak hone ki bhi ummid nahin
gham kuchh is tarah jalata hai mujhe
un pe ab dekhiye 'KHushtar' marna
marta hai ki jilata hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.