wo jawani na rahi ab wo zamane na rahe
vo javānī na rahī ab vo zamāne na rahe
ahd-e-hangām-e-mohabbat ke fasāne na rahe
qadr-e-hastī thī mujhe bahr-e-ināyāt-e-butāñ
vo jo jiine ke bahāne the bahāne na rahe
sāz-e-barbat kī navā hai na vo āvāz-e-tarab
gungunāte the jinheñ ab vo tarāne na rahe
vo jo baiThe the ghaḌī bhar ko mirī mahfil meñ
the jo do chaar mire yār-o-yagāne na rahe
jazba-e-shauq-e-safar apnī jagah hai lekin
na safīna rahā koī vo Thikāne na rahe
ḳhosha-e-umr se girte rahe sā.āt-e-girāñ
ḳhosha-e-umr meñ ab vaqt ke daane na rahe
koī kahtā thā ta.āruf meñ mirī turbat par
kūcha-e-ishq ke 'sayyad' vo divāne na rahe
wo jawani na rahi ab wo zamane na rahe
ahd-e-hangam-e-mohabbat ke fasane na rahe
qadr-e-hasti thi mujhe bahr-e-inayat-e-butan
wo jo jine ke bahane the bahane na rahe
saz-e-barbat ki nawa hai na wo aawaz-e-tarab
gungunate the jinhen ab wo tarane na rahe
wo jo baiThe the ghaDi bhar ko meri mahfil mein
the jo do chaar mere yar-o-yagane na rahe
jazba-e-shauq-e-safar apni jagah hai lekin
na safina raha koi wo Thikane na rahe
KHosha-e-umr se girte rahe saat-e-giran
KHosha-e-umr mein ab waqt ke dane na rahe
koi kahta tha taaruf mein meri turbat par
kucha-e-ishq ke 'sayyad' wo diwane na rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.