wo jhagDe ka bahana chahta hai
vo jhagḌe kā bahāna chāhtā hai
mujhe phir āzmānā chāhtā hai
vo rishta yuuñ nibhānā chāhtā hai
marāsim ġhā.ebāna chāhtā hai
ayaañ hotā hai ḳhāmoshī ke zariye
vahī jo vo chhupānā chāhtā hai
vo jis ne har qadam sīkhā hai ham se
vo ab ham ko sikhānā chāhtā hai
vo ziddī hai kisī bachche kī sūrat
Thahartā hai na jaanā chāhtā hai
jo bhaḌkā.ī thī us ne nafratoñ se
vo jumloñ se bujhānā chāhtā hai
bahut ma.asūm hai mahbūb merā
ki haare ko harānā chāhtā hai
wo jhagDe ka bahana chahta hai
mujhe phir aazmana chahta hai
wo rishta yun nibhana chahta hai
marasim ghaebana chahta hai
ayan hota hai KHamoshi ke zariye
wahi jo wo chhupana chahta hai
wo jis ne har qadam sikha hai hum se
wo ab hum ko sikhana chahta hai
wo ziddi hai kisi bachche ki surat
Thaharta hai na jaana chahta hai
jo bhaDkai thi us ne nafraton se
wo jumlon se bujhana chahta hai
bahut masum hai mahbub mera
ki haare ko harana chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.