wo jhankar paida hai tar-e-nafas mein
vo jhankār paidā hai tār-e-nafas meñ
ki hai naġhma naġhma mirī dastaras meñ
tasavvur bahāroñ meñ Duubā huā hai
chaman kā maza mil rahā hai qafas meñ
guloñ meñ ye sargoshiyāñ kis liye haiñ
abhī aur rahnā paḌegā qafas meñ
na jiinā hai jiinā na marnā hai marnā
nirālī haiñ sab se mohabbat kī rasmeñ
na dekhī kabhī ham ne gulshan kī sūrat
taraste rahe zindagī bhar qafas meñ
kaho ḳhvāh kuchh bhī magar sach to ye hai
jo hote haiñ jhūTe vo khāte haiñ qasmeñ
maiñ hone ko yuuñ to rihā ho gayā huuñ
mirī ruuh ab tak hai lekin qafas meñ
na girtā maiñ ai 'nāz' un kī nazar se
dil apnā ye kam-baḳht hotā jo bas meñ
wo jhankar paida hai tar-e-nafas mein
ki hai naghma naghma meri dastaras mein
tasawwur bahaaron mein Duba hua hai
chaman ka maza mil raha hai qafas mein
gulon mein ye sargoshiyan kis liye hain
abhi aur rahna paDega qafas mein
na jina hai jina na marna hai marna
nirali hain sab se mohabbat ki rasmen
na dekhi kabhi hum ne gulshan ki surat
taraste rahe zindagi bhar qafas mein
kaho KHwah kuchh bhi magar sach to ye hai
jo hote hain jhuTe wo khate hain qasmen
main hone ko yun to riha ho gaya hun
meri ruh ab tak hai lekin qafas mein
na girta main ai 'naz' un ki nazar se
dil apna ye kam-baKHt hota jo bas mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.